mausam

mausam to har sal is shahr mein aate hain
hare bhare matiyale mausam

lekin un ki god mein hum is mausam ki
konpal dhundte rahte hain

jo sanson ke ras ko chhu kar jismon ke bal par tak chadh aati hai
jis ki ok mein pyasi khwahish

sari ruton ke rang aur zaiqe
chakh leti hai

jaise gahre baadal ki aaghosh mein barish
aur bahte dariyaon ki patal mein moti

aise hi hum donon ki be-tab kashish se
ek ye mausam chha jata hai

mausam jis ke dhani kapde
lazzat ki khushbu se tar hain

jis ke khule hue mausam mein
jangali titriyon ke par hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close