hum ek muddat se dhund aur khak mein muallaq zamin ki khushbu sahar ki aahat ko dhundte hain hamari be-khwab sard aankhon mein bujhte mausam ki rangaten timtima rahi hain hamare pairon ke niche mitti pighal ke daldal bani hui hai ulajhti sanson ki sakht girhen badan ke andar khinchi hui hain nidhaal sadiyon ke faslon ka safar ki panw mein pal raha hai dhadon ke niche hamara saya hamare jismon ko reza reza nigal raha hai (2) samundaron se hawa lipat kar nai ruton ka visal mange zamin ki khushbu sahar ki aahat ke dhundle khwabon ka aks phaile hamein yaqin hai hawa ke gadle safar se aage chamakte lamhon ki rahguzar hai nae gulabon ki sarzamin hai hamare panw mein aane wale safar ki khwahish tadap rahi hai hamari aankhon mein bawle khwab ka nasha hai hum apne apne dhadon ke tabut se nikal kar badhe ki suraj ka jism chhinen zamin ki khushbu ka khoj paen hum ek muddat se sochte hain ki aasman ke siyah patthar mein ab kiran ka shigaf utre zamin ki patal se kashish ho nae gulabon ki mast khushbu badan mein phaile magar wahi dhund ka safar hai kati-phati sard ungliyon par lahu ke jugnu chamak chamak kar bikhar chuke hain ragon ke reshon mein taza khwahish ki kashmakash sard pad chuki hai dhoen ke phande mein marne walon ke nam zehnon ki takhtiyon se utar rahe hain saron pe karb-o-bala ke mausam ka sakht khema khincha hua hai hawa pe likkhe hue hain nauhe faza mein latke hue hain chehre ufuq pe tuti hui lakiren zamin pe phaile hue hain sae samundaron se lipatne wali hawa ki an-dekhi doriyon ka koi sira hath mein nahin hai hamari palken udhad chuki hain tamam khwabon ki dhundli ruhen muhib jangal ke raston par bhatak rahi hain ulajhti sanson ki sakht girhen abhi talak jism par khinchi hain hamare niche kisi zamin ki kashish ho shayad yahin kahin dhund ke aqab mein ho koi suraj nikalne wala hawa ke gadle safar se aage chamakte lamhon ki rahguzar ho nae gulabon ki sar-zamin ho magar pighalte badan ko tahlil karne wali ajib saat sada atal hai hamari khwahish ye nek saat hamari aankhon mein ghul ke phaile hamare jismon ka dard pighle hamari khwahish ye nek saat sukut ban kar tadapte jismon mein aa ke thahre ulajhti sanson ki girhen khole hum us ki khushbu ke pur-sukun malgaje andhere ki gahri lazzat ke muntazir hain hum us ki khwahish mein apne apne dhadon ke tabut mein bandhe hain