maut hamara pichha karti rahti hai aur us ke kai nam hain dhamaka raftar dant ka dard hamare panah ke thikane bhi kai hain hum panah lete hain coffee ke ek pyale mein jab us se bhap uth rahi ho darakht ke sae mein jab wo darakht se ziyaada tawil ho taswir ke jangal mein jahan rang kuchh dhundla gaya ho mahbub ke jism mein aakhiri siski se zara pahle ya apne bachchon ke nam mein jin ke kai matlab ho sakte hain ek dusre ka hath thame rakho khwabon ki tariki mein maut hamara pichha karti rahti hai