main samundar ko chhanti hun jab suraj bahut tez chamakta hai sara namak bah jata hai mere pas bacha rahta hai sirf pani aur mujhe tairna nahin aata mausiqi ke shor ke darmiyan raqs ke kisi khamosh waqfe mein tum meri taraf jhukte ho ek surkh bosa liye mere honton par tumhaara zaiqa phail jata hai aur tumhaara lams coke ke gilas par chipka rah jata hai aadhi raat ko jalti aankhon ki raushni mein main mohabbat se bhigi nazmen likhti hun jab subh hoti hai mohabbat kahin kho jati hai aur nazm rah jati hai koi nazm mohabbat ke baghair safar kaise kar sakti hai