jagen kabhi na aisa sulati hai waqt par shah-o-faqir sab ko uthati hai waqt par mumkin hai kisi waqt wo be-waqt hansa de ye baat magar tai hai rulati hai waqt par sab us ko ungliyon pe nachate rahe magar tiguni ka nach wo bhi nachati hai waqt par pal-bhar bhi kaam hone pe rukti nahin kabhi aati hai jaise waise hi jati hai waqt par umr-e-rawan ke sath wo rahti hai umr-bhar bas ek bar ruth ke jati hai waqt par anjam us ka bais-e-ibrat ho is liye ho gar bura koi to satati hai waqt par jo dar-ba-dar hai aakhiri manzil ki khoj mein us ko bhi sidhi rah dikhati hai waqt par stage par dikha ke nae khel tamashe parda wo zindagi ka giraati hai waqt par hai maut bhi ajib hi mashuq 'khwah-makhwah' wada kiye baghair bhi aati hai waqt par