wo harf-o-saut-o-sada

wo harf jo faza-e-nilgun ki wusaton mein qaid tha
wo saut jo hisar-e-khamushi mein jalwa-rez thi

sada jo kohsar ki bulandiyon pe mahw-e-khwab thi
rida-e-barf se dhaki

wo lafz jo faza ke nile aanchalon se chhan ke
jazb ho raha tha

reg-zar-e-waqt mein
jo zarra zarra muntashir tha

dhundli dhundli saaton ki gard mein
wo mani-e-gurez-pa

laraz raha tha jo rag-e-hayat mein
wo ramz-e-muntazir ki jo abhi nihan tha

batn-e-kaenat mein
wo harf-o-saut-o-sada

wo lafz-e-muntashir
wo ramz-e-muntashir

wo mani-e-gurez-pa
bas ek jast mein

hisar-e-khamushi ko tod kar
pighal ke mere dard-o-arzu ki aanch mein

nawa-o-nutq ki sabahaton mein dhal gaya
wo aabshaar-e-naghma-o-nawa

ki kohsar-e-sard se gira
ki gunjti guphaon se ubal pada

wo ju-e-zat
naghma-e-hayat

jo rawan-dawan hai bahr-e-be-karan ki khoj mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close