us ko albam dikhate hue main batlaya ye dekhiye ye mera dost hai aaj kal ghaaliban kenya mein rabar ki kisi farm mein unche ohde pe hai us ne chehre ko lamba bana kar kaha main use jaanta hun kai bar do-chaar paig us ke hamrah bhi pi chuka hun ye chhe sal pahle mujhe kenya mein mila tha magar us mulaqat ke dusre hi baras rail ke hadse mein ye mara gaya tha! faza dafatan dard se bhar gai samajh mein na aata tha main us ki dhaaras bandhaun ki khud chand taskin ke lafz chahun to aisa bhi hota hai ye shakhs jo mere albam ke is kale panne ke albam pe baitha hua muskuraata hai aaj tak mere nazdik zinda tha ye aur mere tain do ghadi pesh-tar hi mara hai to kya maut ka dusra nam hai aagahi!