dasht-e-be-nakhil mein baad-e-be-lihaz ne aisi khak adai hai kuchh bhi sujhta nahin hauslon ka saeban raston ke darmiyan kis tarah ujad gaya kaun kab bichhad gaya koi puchhta nahin fasl-e-e'tibar mein aatish-e-ghubar se khema-e-dua jala daman-e-wafa jala kis buri tarah jala phir bhi zindagi ka sath hai ki chhutta nahin kuchh bhi sujhta nahin koi puchhta nahin aur zindagi ka sath hai ki chhutta nahin