is baat se koi farq nahin padta ki jawan bete ki maut kis tarah waqe hui swimming pool mein dub jaane se, dimagh ke sartan se ya tez-raftar motor-bicycle ke samne diwar ke aa jaane se is baat se bhi koi farq nahin padta ki marne wala zindagi se nabard-azma kisi shaera ya shaer ka beta tha ya raj-put nasl ka koi zinda-dil mazul shahzada ya marne wale jawan bete ka nam kabir, tariq ahad ya kuchh aur tha jawan bete ki maut insan ko pani mein halak karne par mamur farishte ne li ya khushki par insani ruh qabz karne ke majaz farishte ne aisi ya aisi kisi bhi baat se koi farq nahin padta kyunki maut ka farishta tinon maqamat par jawan bete ko man bap se juda karne mein nakaam raha maut ka farishta laga rahta hai din raat apni nakaami ka intiqam lene mein tukde tukde karta rahta hai man bap ka dil jaise kata jata hai machine ke tez dhaar ब्लेड se maweshiyon ka chaara kode marta rahta hai man bap ki zakhmi ruh ko barhana kar ke ijad karta rahta hai nit-nae tariqe man bap ke bache-khuche dil ko aziyyat pahunchane ke maut ka farishta dakhil ho jata hai baghair ijazat kisi shaer ke bed-room mein raat kharab karne majbur kar deta hai shaer ko zakhmon se karahti nazm likhne par