judai mohabbat ke dariya-e-khun ki muawin nadi hai wafa yaad ki shakh-e-marjaan se lipti hui hai dil-aram o ushshaq sab khauf ke daere mein khade hain hawaon mein boson ki basi mahak hai nigahon mein khwabon ke tute hue aaine hain dilon ke jaziron mein ashkon ke nilam chhupe hain ragon mein koi rud-e-gham bah raha hai magar dard ke bij padte rahenge magar log milte bichhadte rahenge ye sab gham purane ye milne bichhadne ke mausam purane purane ghamon se nae gham ulajhne chale hain labon par nae nil dil mein nae pech padne lage hain ghanim-asmanon mein dushman jahazon ki sargoshiyan hain sitaron ki jalti hui bastiyan hain aur aankhon ke radar par sirf tarik parchhaiyan hain hamein maut ki tez khushbu ne pagal kiya hai umidon ki surkh aab-dozon mein sahme tabahi ke kale samundar mein bahte chale ja rahe hain karan-ta-karan ek gadha kasila dhuan hai zamin teri miti ka jadu kahan hai