rahguzar par shor-o-ghul ka sail hai bah raha hai khushk tinke ki tarah ye jahan-e-rang-o-bu ghumte pahiyon dhadakti gadiyon ki hichkiyan dastan-dar-dastan uljhi hui hain chaar-su dard se sahme hue khwabon ke lakhon qafile gamzan hain su-e-hasrat hausle thame hue main bhi un mein tum bhi in mein sari duniya un mein hai khamushi bhi naghmagi bhi ashk-o-khun bhi un mein hai kuchh nigahen arsh par hain kuchh nigahen farsh par waqt aandhi ki tarah kar raha hai tez-tar is sail ko hum kahan hain kaun si manzil pe hain koi batlao koi aawaz do koi batlao koi aawaz do