maut ki nasihat

maut ne us ki aankhon mein aankhen dalin
to use badan ka bosida libas hath mein thame

be-khauf-o-khatar
apne istiqbaal ke liye khada paya

wo sahm gai
us ki haibat mand pad gai

wo us ke qatilon ke pas gai
aur jo kuchh dekha tha unhen bata diya

wo samjhe ki maut un ke sath kisi sazish mein sharik ho gai thi
un ki tasalli ke liye

wo us ka bosida libas le aai
magar jate waqt nasihat kar gai

ki ise sambhaal kar rakhen
us din ke liye

jab mulk mein kapde ka qaht padega
aur un ke nange badan dhanpne ke liye

kisi ke pas koi kapda na hoga
us ek libas ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close