phul sa nazuk bel sa komal nanha munna guddu apna duniya ke chehre ki raunaq fitrat ki aankhon ka sapna surat us ki bholi-bhaali gal hain us ke gore gore jism hai ya phulon ki dali baal hain ya resham ki dore us ki duniya pyar ki duniya us ki baaten pyar ki baaten bachpan ke hain samay suhane hanste din aur hansti raaten kash us ki shaffaf jabin par ranj-o-alam ki gard na chhae kash ye duniya zalim duniya is par koi zulm na dhae mere bas ki baat agar ho main na jawan hone dun is ko yunhi khushiyon ke jhule mein hansta gata dekhun is ko