raat ke andhere mein aaj phir dabe panw sarsaraati sargoshi phan utha ke chalti hai waqt ret ki manind hath se phisalta hai nind mujh se ruthi hai bhuk raqs karti hai pyas chubhne lagti hai sans kyun atakti hai jhanko meri aankhon mein aks dekh lo apna aur mujhe ye batla do kya tumhein khatakta hai kyun gurezan ho mujh se kya mein bojh lagti hun kyun machal si jati ho hath bhi badhati ho phir pare khisakti ho hath khol do mere bhinch lo na sine mein gal chhune do apne gar nahin rahi kal main lams to rahega na ye sadaen kaisi hain jin ki gunj se mere kan sansanate hain kis ki siskiyan hain ye zindagi ki ya tum ho maut to nahin na ye maut gar nahin hai ye aahaten hain phir kis ki kyun ghutan ka pahra hai kya mujhe janam de kar tum ne maut banti hai