aksar akhbar mein subh sawere lafzon ke andar chham-chham nachti khun ki bunden dekh kar main soch mein pad jati khuda kaun se aasman par rahta hai khud se puchhti sab se puchhti jawab mein ek ghani chup mera munh chidati magar aaj itne sare phulon ke janaze dekhe to main ne qatra qatra tapakte khun ki haqiqat taza gulab ki hasrat chidiya ki udasi aur koyal ki huk mein chhupi dard banti dastan ko jaan liya bas us din se main kisi se nahin puchhti ki khuda kaun se aasman par rahta hai