maut meri jaan maut tu badi muddat se meri tak mein hai zindagi mamta bhari man aur tu ai maut ek mashuqa wa-aghosh ret aur patthar hazaron sal ham-bistar rahe lekin ghas ki patti bhi paida kar na pae zindagi aur ye zamana bhi badi muddat se ham-aghosh hain khair is qisse ko chhod kar dekh richh ke pairon sa dast-e-sud-khwar apne tedhe medhe nakhun ya teri wahshi-nigah mere sine mein gad diye ja raha hai aankh khalwat ki jhulasti ret par aab-pash aur tapti ret se koi konpal koi rang koi khushbu koi shai uthti nahin ek bhura-pan khalwat-e-be-rang ko bad-rang kar jata hai bas raushnai khushk nib tuti hui kaghaz ki aankhen nam dimakon ka ghar dimagh aur meri tak mein tu kyun rag-o-pai mein sarayat kar raha hai ye siyah ehsas lamha lamha khatm hota ja raha hun aankh se tapke hue ashkon ke sath qatra qatra khatm! nuqta nuqta khatm! chhah tabassum qarz le kar sud mein apne badan ka gosht ada karne ke har wade ke sath khatm hote ja rahe mujh ko agar pa bhi gai to kya karegi maut meri jaan maut