pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham dhale der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak mutarannim se rahenge ye hawa ke goshe jin mein ghaltida hai ab lahn-e-takallum tera raat bhar phaili rahegi ye tassur ki shafaq jazb hai jis mein dil-awez tabassum tera yaad rah jaegi is sehn ko ye sham-e-fusun jal gai thin kai an-dekhi suhani shamen lau sa de uttha tha mahaul tere aane ka chha gaya tha dar-o-diwar pe wo partaw-e-rang jaise makhuz hon lamhe kisi afsane se chhod jaega wahi narm kasak phir dil mein jis se shadab hai muddat se mera zauq-e-talab aaj taqrib mein ye tarz-e-mulaqat tera be-niyazana takhatub mein pareshan sa tere gosha-e-lab pe koi harf shanasai ka tamkanat wali adaon mein anokha sa niyaz mujtanib aankhon mein ek aks pazirai ka aam mauzu-e-sukhan mein bhi ayan lahja-e-khas zehn ki baat mein bhi dil ki dhamak ka ehsas ek tahum sa kisi ghamza-e-ghaltida mein ek manus sa kham kakul-e-paichida mein tujh se ye rabt ki mauhum bhi mafhum bhi hai tu ki hai mujh se teri zist ka har rang juda sharh-e-haalat alag umr ka aahang siwa pahle hi rah mein hael hai khalij-e-aqdar tu ne tabinda bhi rakkha hai tera khatt-e-hisar phir bhi ek qurb ki khushbu hai faza mein bedar ye rah-o-rasm jo izhaar-e-mohabbat bhi nahin hai tere dam se ye rahat ki jo rahat bhi nahin gham-e-be-nam tere nam se mausum bhi hai husn se rabta-e-ishq ke mazmun hain bahut is latafat-kada-e-kaif mein afsun hain bahut na tere jism ka sandal na tere lab ke gulab na teri zulf ki shabnam hai is ehsas ka nam yun to is sham ka paikar bhi hai tera ye jamal is shanasai ka unwan hai faqat nikhat-e-sham chashm-e-hamdam ki ata-karda ye aasaish-e-did mehrban husn ka bakhsha hua ye izn-e-kalam aaj phir jagti rah jaegi har baam tale wahi shadab si hasrat wahi aasuda kasak der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham dhale