har taraf khamosh galiyan zard-ru gunge makin sune sune baam-o-dar aur ujde ujde shah-nashin mumtiyon par ek gahri khamushi saya-fagan reng kar chalti hawa ki bhi sada aati nahin is sukut-e-bekaran mein ek tilismi naznin surkh gahre surkh lab aur chand si pili jabin aankh ke mubham ishaare se bulati hai mujhe ek pur-asrar ishrat ka khazana hai wo chashm-e-dil-nashin