mere jahan mein saman-zar dhundne wale yahan bahaar nahin aatishin bagule hain dhanak ke rang nahin surmai fazaon mein ufuq se ta-ba-ufuq phansiyon ke jhule hain phir ek manzil-e-khunbar ki taraf hain rawan wo rahnuma jo kai bar rah bhule hain buland dawa-e-jamhuriyat ke parde mein farogh-e-majlis-o-zindan hain taziyane hain ba-nam-e-amn hain jang-o-jadal ke mansube ba-shor-e-adl tafawut ke kar-khane hain dilon pe khauf ke pahre labon pe qufl sukut suron pe garm salakhon ke shamiyane hain magar hate hain kahin jabr aur tashaddud mite wo falsafe ki jila de gae dimaghon ko koi sipah-e-sitam pesha chur kar na saki bashar ki jagi hui ruh ke ayaghon ko qadam qadam pe lahu nazar de rahi hai hayat sipahiyon se ulajhte hue charaghon ko rawan hai qafila-e-irtiqa-e-insani nizam-e-atish-o-ahan ka dil hilae hue baghawaton ke duhal baj rahe hain chaar taraf nikal rahe hain jawan mishalen jalae hue tamam arz-e-jahan kholta samundar hai tamam koh-o-bayaban hain tilmilae hue meri sada ko dabana to khair mumkin hai magar hayat ki lalkar kaun rokega fasil-e-atish-o-ahan bahut buland sahi badalte waqt ki raftar kaun rokega nae khayal ki parwaz rokne walo nae awam ki talwar kaun rokega panah leta hai jin majlison mein tera nizam wahin se subh ke lashkar nikalne wale hain ubhar rahe hain fazaon mein ahmarin parcham kinare mashriq-o-maghrib ke milne wale hain hazar barq gire lakh aandhiyan uthen wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain