ufuq-e-zist se ek aur sitara tuta ek kiran aur hui raat ki zulmat mein asir phir kisi naghma-e-betab ki lai saz se aazad hui ek tabinda haqiqat ki jo thi raaz hui sard paiman-e-wafa sard hui aatish-e-shauq sard jazbaat ka tufan khamosh sard tabinda nigahon ke sharar sard-bar-kaifiyat-e-gham ki sulagti hui aag jam pur-shor se gir jaane do nakaam tamannaon ki mai farsh-e-mai-khana-e-ulfat pe ulat do saghar sar-nigun band darichon mein ummidon ke diye gul kar do dastan soz-o-mohabbat ki adhuri hai magar alamiya khatm hua dil-shikan aakhiri manzar pe gira do parde