mawara

biswin sadi ke aakhiri barson mein
ek gahraati hui sham ko

jab parindon aur patton ka rang siyah ho chuka tha
aur dukh ka rang har rang par ghaalib tha

man tut chuki thi
mahbuba ruth chuki thi

hafta-war tatil ki faraghat se mutmain
sarshaari ke ek lamhe ko be-qarar

shair
likhne baitha

gird-o-pesh ki duniya
nihayat aahistagi se

khafif pardon se chhanti hui
ghaeb ho gai

aur puri kaenat mahdud ho kar
mez ke raqbe mein simat aai

shair na-malum kitne zamanon tak
mahbut baitha faza ki sargoshiyan sunta raha

saen saen karti khamoshi mein
mo'atabar alfaz ki talash-o-justuju mein

ghaltan-wa-pechan
ki yak lakht raat ki shah-rag se

kai khun ke fawware chhute
aur sisakti sidhiyon chikhte darwazon ke aahang pe

mez par padi kanch se jhankti
marx ki taswiron par

ik-tara bajate hue nepali bachche ki taswir
aur pash ki nazmon par

musla-dhaar aansuon ki barish hone lagi
aur bahar raat ki tariki mein kutte bhaunkne lage

nasibon jali banki tilangan raat jari thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close