panah

guzishta barishon ki be-charagh raaton mein
jab kahaniyan bunte hue meri aankh lag jati

to kutton aur bhediyon ka bhaunkta ghurraata ghol
mere khwabon par tut padta

meri car ke gird
aur mere makan ke chaar su

apne apne bante hue ilaqon se nikal kar
mujh par hamla karne ki khatir

azali dushmanon ka tola
ek ho kar

meri bu sunghta phirta
lekin taza barishon ne

khwab aur haqiqat ka farq mita diya hai
lihaza

ab wo maikaniki waqt ke paband nahin rahe
aur psychological waqt ke mutabiq mujhe khojte hain

ek pahar mein chhiyanwe bar
bhunkte ghurraate aur ral tapkate hue

magar main unhen kahin nahin milti
na ghar mein na gali mein na car mein

kyon ki ab main ek nazm ki panah mein hun
jis ki bu sunghna

un ke bas se bahar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close