kisi taswir mein rangon se ubhaare na gae tere chehre ke dil-awez gulabi haale mere alfaz ka tarsha hua sang-e-marmar kaun se but mein tere jism-e-jawan ko dhaale teri nau-khez jawani ke kunware moti jagmagate rahe wijdan ke aaine mein ban gae rashk-e-chaman lala-o-nargis ki tarah dagh aur zakhm the jitne bhi mere sine mein teri khushbu se mahakne laga gulshan gulshan daliyan phulon ki jhuk kar tujhe kahti hain salam gardish-e-waqt ruki jati hai tauba tauba main ne dekha nahin tujh sa koi aahista-khiram ye tera paikar-e-sad-rang ye aahang-e-jamal dekh kar tujh ko khayal aate hain kaise kaise tera chehra hai ki takhliq-e-mah-o-mahr ka raaz teri aankhen hain ki asrar-e-do-alam jaise teri surat teri masum o muqaddas surat meri har soch ke aaine mein lahraati hai hae wo sher ki mauzun na hua jo ta-umr tu usi sher ki tafsir bani jati hai