maya ye sansar re baba maya ye sansar jis ne man ki aankhen kholin us ka beda par ye dhan daulat sona chandi ye zewar ye zar ye bagh aur ye kheti-badi ye kothe ye ghar ye singhasan ye gaddi ye naukar ye chaakar sath bhi tere jaega kya sara ye darbar maya ye sansar re baba maya ye sansar do din ki ye raunaq hai aur do din ka ye khel mandhe chadhi hai kis ki aakhir is duniya mein bel bujh kar rah jata hai diya jab jal chukta hai tel aag chita ki khak lahad ki rakkhi hai tayyar maya ye sansar re baba maya ye sansar suraj jaisa chehra aur ye chandar jaise gal nargis jaisi aankhen aur ye sumbul jaise baal ubhra ubhra sina aur ye atkheli si chaal pad jaega aakhir ek din phika ye bazar maya ye sansar re baba maya ye sansar hath se tan ke jaan ka pyala jab jaega chhut bajte bajte sans ka baja jab jaega tut tab tujh par khul jaega ye sach hai ya hai jhut lash se teri ho jaenge apne bhi bezar maya ye sansar re baba maya ye sansar ulte tere chaal chalan hain ulti teri rit haar ke har ko hath se apne samjha us ko jit hain dhoke ke sur ye tere mithe mithe git dil mein tere chhuri katari lab par istighfar maya ye sansar re baba maya ye sansar allah-hu ka nara ho ya hari hari ki tan dil hi tera pak nahin to kya simran kya dhyan zamzam mein tu ghusl kare ya ganga mein ashnan la-hasil sab sajde tere puja sab bekar maya ye sansar re baba maya ye sansar mrityu sar par khel rahi hai aaj na aai kal nind se chaunk aur susti tod aur aankhen apni mal dekh na daen baen baba sidha rasta chal kan ke parde khol ke sun le 'najmi' ke ashaar maya ye sansar re baba maya ye sansar jis ne man ki aankhen kholin us ka beda par