maysha

chain hai khwab hai kahani hai
maysha meri zindagani hai

har taraf is se shadmani hai
har nazare ka rang dhani hai

rang mein rup mein nazakat mein
sab mein pariyon ki wo to rani hai

us ki aankhon se nur chhanta hai
us ke honton pe gul-fishani hai

aisi nazuk ki pankhudi bhi nahin
phul koi wo dastani hai

mustaqil baam-o-dar mahakte hain
wo mere ghar ki raat-rani hai

us ki masum muskurahat mein
kuchh farishton ki bhi nishani hai

naghmagi jism-o-jaan mein ghul jae
aisi honton pe khush-bayani hai

aisa gul-kariyon mein jadu hai
aag bhi jis ke dam se pani hai

hech makhmal hai jild ke aage
rang bhi rashk-e-arghawani hai

us ke talwon ke lams mein bhi ajab
nasha-e-kaif-e-jawedani hai

us se har aankh mein basarat hai
us se har dil mein shadmani hai

us ke hone se mere aangan mein
tapish-e-dhup bhi suhani hai

be-zarar be-zaban hai lekin
har taraf us ki hukmrani hai

bap qurban man fida us par
aur nani to bas diwani hai

dada dadi ke dil ki dhadkan hai
sunny mamun ki jaan-e-jaani hai

shahida hon ki baby baji hun
har koi us pari ki nani hai

fakhr inam ki chaheti hai
sallu shadab ki bhi rani hai

dil mahak ka chahak raha us se
lab pe safiya ke lan-tarani hai

bin bulae hamein bulati hai
wo to gudiya ajab siyani hai

ai 'ghazanfar' bata ki mahfil mein
kya koi maysha ka sani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close