mayus to hun wade se tere kuchh aas nahin kuchh aas bhi hai main apne khayalon ke sadqe tu pas nahin aur pas bhi hai hum ne to khushi mangi thi magar jo tu ne diya achchha hi diya jis gham ka talluq ho tujh se wo ras nahin aur ras bhi hai palkon pe larazte ashkon mein taswir jhalakti hai teri didar ki pyasi aankhon mein ab pyas nahin aur pyas bhi hai