raat behad chup hai aur us ka andhera sharmagin sham padte hi damakte the jo rangon ke nagin dur tak bhi ab kahin un ka nishan milta nahin ab to badhta aaega ghanghor baadal chah ka us mein bahti aaegi ek madh-bhari mithi sada dil ke sune shahr mein gunje ga naghma chah ka raat ke parde mein chhup kar khun rulati chahto is qadar kyun dur ho mujh se zara ye to kaho mere pas aa kar kabhi meri kahani bhi suno siskiyan leti hawaen kah rahi hain chup raho