koi nazm kaise kahen ki hum na charagh hain na misal-e-harf-e-gulab hain na khayal hain na kisi ki aankh ka khwab hain kisi gum-shuda si wafaon ki kisi sham mein jo bichhad gae to bichhadne walon ki yaad mein kahin ret hain kahin ashk-e-gham ka ghubar hain wo jo dasht hijr ka hai kahin isi dasht-e-sham judai ke ye jo dagh hain teri yaad ke tere baad ke koi nazm kaise kahen ki hum na charagh hain na misal-e-harf-e-gulab hain na khayal hain na kisi ki aankh ka khwab hain ye jo shahr hai to ye shahr bhi saf-e-dushmanan se mila hua ye jo log hain to ye log bhi kahan jaante hain ki kya hua koi nazm kaise kahin ki hum ye faza hi aisi nahin rahi jo charagh koi jalaen hum to hawa hi aisi nahin rahi tahi-e-fikr aise hue hain hum tere khal-o-khad ka bayan bhi ab na hamare dast-e-hunar mein tha na hamare dast-e-hunar mein hai