ek muflis gharib aur lachaar jis ka hamdam koi na hai gham-khwar jaan-e-jamhur us ko kahte hain yani mazdur us ko kahte hain kaun samjhega us ki majburi chaar rupya hui hai mazduri ek jawan-sal us ki beti hai wo bhi bimar ghar mein leti hai ghar raqam itni le ke kya jae itne mein kya khilae kya khae subh se sham hone aai hai ek udasi si ghar mein chhai hai kaise wo ba-shuur rahta ho har khushi se jo dur rahta ho murda-dil ke lahu mein josh nahin faqa-masti mein kuchh bhi hosh nahin ghar mein chawal hai aur na aata hai raat din jaane kaise kata hai kaun duniya mein sunne wala hai zar-paraston ka bol-baala hai beti ke zist ka bujha jo diya maut ne apni aafiyat mein liya aisa majbur kis tarah se jiye khae gham aur khun-e-dil jo piye hasraton ka janaza khub gaya ye bhi dariya mein ja ke dub gaya