subh-e-sadiq ki tarah raushan hai bapu teri zat zau-fishan hai hind ki tarikh mein tera sabaat pak baatin pak tinat azm ke koh-e-giran khadim-e-qaum-o-watan ai nazish-e-hindostan khubiyon se dast-e-qudrat ne sanwara hai tujhe irtiqai manzilon ne jab pukara hai tujhe tere akhlaq-o-mohabbat ka ajab andaz hai jis ko dekho aaj wo tera hi ham-awaz hai teri pa-mardi ne zanjir-e-ghulami tod di mil gaya swaraj jab bapu to duniya chhod di tere istiqlal par sara zamana dang tha jang-e-azadi ke ladne ka nirala dhang tha teri koshish se bana hindostan jannat-nishan rasta tu ne dikhaya ban ke mir-e-karwan aaj sar par hind ke fath-o-zafar ka taj hai tu dilon mein jalwa-gar tera dilon par raj hai is badalte daur mein ye shan-o-azmat hai teri mulk-o-millat ko bahut ab bhi zarurat hai teri qaum ka ek gauhar-e-nayab tha jo kho gaya qaum ka ek jazba-e-betab tha jo so gaya rasta batla ke ai 'takmil' wo rahbar gaya aane walon ke liye hamwar rahen kar gaya