mehnati log

engineer
likh padh ke main to ek din

ahl-e-hunar banunga
chaha agar khuda ne

engineer banunga
hogi mere hunar se tamir is watan ki

jagegi mere fan se taqdir is watan ki
chalti rahen mashinen sanat tamam chamke

jis tarah subh chamke waise hi sham chamke
ahl-e-hunar banunga

engineer banunga
doctor

jise taklif mein paun
use aaram pahunchaun

jahan gham ka andhera ho
khushi ki raushni laun

jahan aansu baraste hon
hansi us ghar mein bikhraun

dua hai doctor ban kar
dukhi logon ke kaam aaun

watan ka sipahi
watan ka bahadur sipahi banun

shujaat ki duniya ka rahi banun
left right left

left right left
watan mein jahan ho zarurat meri

wahin kaam aae shujaat meri
dileri ka main sab ko paigham dun

jo mushkil ho wo kaam anjam dun
hamesha taraqqi ki rahon mein hum

chalen sathiyon se mila ke qadam
left right left

left right left
teacher

na chandi na sona chahun
main to teacher hona chahun

hasil jo talim karun main
sab mein use taqsim karun main

nanhe munne bachche aaen
ilm ki daulat lete jaen

kam na ho ye taqsim kiye se
jalta ho jaise diya diye se

pilot
bulandi pe ja ke safar karne wala

hawa-baz uncha hawa-baz aala
wo runway pe aaya jo take-off karne

to suraj ne pahnai kirnon ki mala
passenger hain siton pe be-fikr baithe

udae liye ja raha hai jiyala
hamari umangon se kya kah raha hai

fazaon mein udta hua ye ujala
wakil

insaf ki shan dikhaun
insaf ka rang jamaun

mazlum se ho hamdardi
zalim ko saza dilwaun

mujrim ke kale dil mein
qanun ki shama jalaun

har baat mein sab se aage
insaf ki baat badhaun

insaf ki shan dikhaun
insaf ka rang jamaun

haari
socha hai main ne

haari banunga
kheton mein jhumun

gandum uga ke
dharti ko chumun

faslen saja ke
sare watan ko

khush-haal kar dun
khushiyon se sab ke

daman ko bhar dun
haari banunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close