main kya hun main kya hun ye batlao tum phir ghi aur shakkar khao tum baghon mein mera dera hai jangal mein mera basera hai ek taj mere sar par hai dhara uda uda nila nila hain lambe lambe par mere jo sare badan ko hain ghere naqsh un ke jhamakte rahte hain tare se chamakte rahte hain jab baadal ghir kar aate hain jab baadal barish late hain us waqt meri jhankar suno ek bar nahin sau bar suno main josh mein jis dam aata hun par apne sab phailata hun phir nachta hun main ji bhar ke thumak thumak thumak kar ke tarif meri sab karte hain sab mere husn pe marte hain hain lekin panw mere bhadde bas hain yahi mujh ko dukh dete main kya hun ye batlao tum phir ghi aur shakkar khao tum