ek muallaq khala mein kahin na-gahan mehrban farsh par panw mera pada main ne dekha khula hai mere samne zar-nigar o munaqqash bahut hi bada ek dar khwab ka mehrban farsh ke marmarin pattharon se huwaida hua aks mahtab ka main ne hath apne aage badhae aur us ko chhua ghantiyan mere kanon mein bajne lagin jawedan aur ghinai rifaqat ke mabain tha mera sahra-e-jaan ek muallaq khala mein kahin na-gahan main ne dekha mere shab-numa jism par ek sitara si barish ne lab rakh diya narm burraq tarshe hue taq par jitna zad-e-safar mere ham-rah tha main ne sab rakh diya ab main aazad tha aur tilismin padaw ka har ism bhi yaad tha main ne dekha mere chaar jaanib jhuka tha piyala-numa aasman mera mahram meri sans ka raaz-dan ek muallaq khala mein kahin na-gahan mehrban farsh par panw mera pada main ne dekha khula hai mere samne zar-nigar o munaqqash bahut hi bada ek dar khwab ka