mere panw ke niche khak nahin kisi aur ke panw ki mitti hai darwaza khula aur mah-e-zawal dar aaya band makan ke rauzan-e-dar se aage sat dulhan ki qabr hai niche kuza-garon ki basti hai kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche khak nahin bade qisse hain bade qisse hain dil sabr-o-sawal ke sunne ke badi baaten saif-o-kitab pe likhne ki bade khwab hain odh ke sone ko kabhi khwab likhe nahin jate kabhi baaten suni nahin jatin kabhi qisse kahe nahin jate kuza-garon ki basti mein bade qisse hain aur khak nahin mere panw ke niche khak nahin aur mah-e-zawal dar aaya band makan ke rauzan-e-dar se aage sat dulhan ki qabr hai niche kuza-garon ki basti hai kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche khak nahin kisi aur ki panw ki mitti hai