![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/mera-dost-abul-haul-akhtar-ul-iman-nazm-english.jpg)
dhuan-dhaar taqrir jis ne abhi ki thi wo aadmi hai jo lafzon ke pul bandhta hai ubharte hue nau-jawanon ko wadon ki afyun de kar usi pul pe lata hai aur gharq kar ke palat jata hai hasb-e-dastur aaram-gah ko ye duniya to un shola saman logon ne aapas mein taqsim kar li jo hathiyar ki shakl mein ranj-o-gham dhaalte hain ya gola-barud ke kar-khanon ke malik hain ya phir sana-khwan hain un ke hamare liye sirf nare bache hain sanati daur ke kaj-kulahon ki dad-o-dahish ruh-parwar ho ya jaan-lewa magar zindabaad, aafrin, marhaba, ke siwa kuchh nahin pas apne ye sab jaanta hai hamari shujaat ki parwaz kya hai hamari jawan-mardi ek suba-jati tassub se ya firqa-wari fasadat se aage kuchh bhi nahin hai futuhat-e-askandari hum ne takhti pe likh kar mita di hain kab ki hamare baad zamin ke tale so rahe hain ajaib-gharon mein latakti hain talwaren un ki aur un ke zarrin libaadon ko ghun kha gaya hai zira-baktaron par clones aa gai hai ye sab jaanta hai hamari tag-o-taz kya hai hamare shikam gar hamare suron pe na hote aur chehron mein aaza-e-jinsi to hum achchhe insan bante hamare gharon ke kam o besh sab aqabi darwaze paiham khule hain hamare lahu mein hare lal pile bahut sare parcham khule hain kahin se magar haq ki aawaz aati nahin hai hamari zaban dil ki sathi nahin hai hamare liye khokhla lafz-e-jamhuriyat hai, taqarir hain leaderon ki hamare liye roz-namon ke safhat hain, ishtihaaraat hain nim-jinsi hamare liye dewtaon ke but hain, khuda ke faramin hain aur uqba jo bad-rang hai haal ki tarah aur kore latthe ki bu se bhari hai hamare liye sirf roti ki jidd-o-johd auraton ke barhana badan ki tamanna se aage kahin kuchh nahin hai hamari ragon mein jo tezab hai us ki shiddat kabhi kam na hogi!
This is a great hindi shayari nare pe. True lovers of bache par shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this tag photo shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!