zamin ki ek had aasman ki ek had hai magar mere dukh ki koi had nahin hai tum kahoge zamin chand, suraj, sitare ye ek kahkashan ye sab apne hi hajm mein dam-ba-dam phailte ja rahe hain ye mana magar un ke phailaw ki bhi koi aakhiri had to hogi main ye manta hun main sab jaanta hun magar mere dukh ki koi had nahin hai!