raushni tez karo, tez karo, tez karo gum hai andesha-e-imroz ki zulmat mein hayat zohra o mah se mahrum hai jazbaat ki raat zafaran-zar bahishton mein bhi udta hai ghubar khuld-bardosh fazaen hain jahannam ba-kanar tishnagi subh ki, mamura-e-hasti mein hai aam rakh do zulmat ki hatheli pe koi nur ka jam aur is gham ke andhere ko na angez karo raushni tez karo, tez karo, tez karo dar-o-diwar pe sae ki musalsal paikar azdahe ladte hue jaise miyan-e-kohsar aur mehrab-e-shikasta mein purani qindil be-par-o-baal si aandhi ki satai hui chil khak par khun mein dube hue qadmon ke nishan sehn mein kushta charaghon ki chitaon ka dhuan in chitaon ko saman-posh o saman-rez karo raushni tez karo, tez karo, tez karo raushni rah mein baqi hai na kashanon mein qumqume tute hue dher hain viranon mein raat hai ya ki siyahi ka koi koh-e-buland kab sahar phenkegi is koh pe kirnon ki kamand yas ne zist ke ehsas ko ghera kyun hai ghut gaya dam ye ghata-top andhera kyun hai sathiyon! shisha-e-gulnar ko gul-bez karo raushni tez karo, tez karo, tez karo, ju-e-khun chashm-e-tamanna se rawan hai ye kyun zindagi su-e-tabassum nigaran hai ye kyun ruh-e-insan ko mile zulmat-e-dauran se najat saj do maghmum fazaon mein charaghon ki baraat sogwarana sahi jashn manana hoga kanpte hathon se ye jam uthana hoga tham kar dil ko utho azm-e-tarab-khez karo raushni tez karo, tez karo, tez karo