khusha ai wotaro lo main bhi ek manshur laya hun tamannaon ki bhuri bairiyon par bor laya hun main apni khud-kashida bhap par aazad ladta hun akela sare ustadon se be-ustad ladta hun raqibon ko bharosa hoga apne karnamon par mujhe hai fakhr apne mahir-e-fan khan-samon par har ek dil-band hajat-mand ko khursand kar dunga gali kuche ki gandi naliyon ko band kar dunga bajat main kam se kam rakkhunga kharcha kar-khanon ka magar thamne na dunga ghalghala filmi taranon ka meri jaan-e-hazin ka bar-e-gham halka nahin hoga! ki jab tak har gali ke mod par nikla nahin hoga nae uslub se juz-bandi-e-kar-e-jahan hogi mere sab wotaron ke ghar mein ratoin ki dukan hogi guzishta do sadi se sakht texae gae ho tum ab aasaish ki jaanib gher kar lae gae ho tum karunga aur bhi patli qabaen nazninon ki madaris mein rahengi chhuttiyan bara mahinon ki classen hi na jab hongi to wo kis ko padhaega hamare daur mein teacher faqat tankhwah paega riwayat-e-kasad-o-kahili chamkai jaengi! jawan-mardon ki zulfen panw tak latkai jaengi hawalaten to kuchh hongi magar thane nahin honge pareshani ke upar ye pareshane nahin honge ye khae rotiyan meri wo noche botiyan meri chaman mein har taraf udti hui langotiyan meri
This is a great bharosa shayari in punjabi. True lovers of teacher shayari in marathi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this urdu shayari ustad ke liye is truly a work of art. Please share if you liked this!!!