zehn pe ek ghata si chhai hai lafzon ki an-jaani bunden baras rahi hain koi mani shayad niklen? zakhmi tair mere qalam se lipat gaya aur us ke pahlu mein ek nanha sa tir hai tir mein ek kaghaz bhi hai ab ke mere janm-din par kis ne mujh ko yaad kiya hai? main ne kaghaz khol ke dekha kuchh bhi na tha sirf tuti tuti chand lakiren thin aise khat aate rahte hain nam nahin hota jin par baat nahin banti lekin baat banegi kaise? jab pahlu mein khar laga ho aankhon mein nam aa bhi chuka ho janam janam ke saude mein tum sab se aage nikal gae ho sare sathi chhut gae gham ke chhaale phut gae jine ki ummid nahin hai phir bhi tum ab tak jite ho umr tumhaari maut se aage nikal gai hai sannate mein jina kitna mushkil hai khwahish ke sadme bhi nahin hain