tumhaare reshmi bistar se utrun mujhe utni zamin de do jahan main panw rakh lun zara sa aasman jis se main apne sar ko dhak lun faraghat ka koi lamha ki jis mein main apne dil ki bikhri khwahishen aangan se chun kar tumhaare dil ki almari mein rakkhun tumhaari khak-e-pa mein gum hue khwabon ko dhundun aur apne mushkbu takiye mein bhar lun tumhaare panw se lipti hui nazron ko kholun zara sa sar utha kar aasman ka rang dekhun tumhaare pyar ki nili faza mein zindagi-bhar parinde ki tarah main udti jaun mera dil to bahut kuchh chahta hai magar is dil ka kya hai