wo jo apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain in se kaho dosti zindagi ka atal faisla aakhiri hukm hai aur is farz ko talna ya hawas ke liye bech dena mere dosto dushmano jurm hai ek mazarrat-rasan jurm hai mujh ko marghub hai zindagi mujh ko mahbub hai maut ke raaz ko fash karti hui chandni aur mere sath hai mah-washon mah-paron ka wo karwan jis ne zulmat ke lashkar ko paspa kiya har andhere se ek chand paida kiya aaj mera watan mere ada-naz fikr-o-nazar ki tarah shad aazad o aabaad rahne ki rahon pe hai nariyal ki zamin ka nirala nikhaar yani barg-e-khizan-khurda hai sogwar aarzu nau-shagufta surur-e-bahaar dil ki jaanib nigah mahtab-dar ajnabi main nahin nam puchho mera main tumhaari tamanna-e-hasti hun shaer mera nam hai aur kuchh bhi nahin aur kuchh bhi nahin wo jo apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain un se kaho dosti zindagi ka atal faisla aakhiri hukm hai
This is a great madina sharif shayari sms. True lovers of shayari atal bihari vajpayee will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dosti paisa shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!