koi kaam nahin karte ho sab ko tal diya karte ho net se tum chipke rahte ho s-m-s karte rahte ho ek roze ka kar ke bahana sara din soe rahte ho apni zid par ad jate ho zara si baat par lad padte ho dadi jaan bulati hain to un ki baat nahin sunte ho asr mein tum ko nind aati hai isha mein tum ghaeb rahte ho jis din iftari kuchh kam ho us din tum bigde rahte ho raghbat hai bas iftari se sahari mein kam hi uthte ho husn-e-khulq ibaadat hai nan is pe dhyan nahin dete ho bhuke pyase kyun rahte ho roze aakhir kyun rakhte ho