aakhiri kos mujhe aaj hi tai karna hai aur is lambe safar ka ye kada kos mujhe is qadar lamba badhana hai ki ab se pahle jo bhi kuchh guzra hai mazi mein use phir ek bar hazir-o-nazir-o-maujud sa main jhel sakun arsa-e-ghaib-o-madum se is lamhe tak wadiyan jharne charagahen maweshi panchhi khet khaliyan chhapar-khat mere ghar ka dalan ganw ki galiyan makan log dukanen bazar aur phir shahr ki sadken bason caron ka shor umr badhti hui bachpan se ladakpan ki taraf aur ladakpan ki wo na-pukhta bulughat jis mein mujh ko ehsas hua tha ki koi aur bhi hai zindagi sari jise sath mere chalna hai kaisa shorida-sar tufan tha tughyani thi jis ne ek bawle insan ko be-rahmi se dur anjaane se pardes mein la patkha tha aur phir pa-ba-rikab aage hi aage ki taraf sar pe saman uthae hue banjaron sa dandi pagdandi sadak naql-o-hamal harkat-o-kuch kaisi aayand-wurud thi ye muhim jo hijrat jis mein simab qadam chalta raha hun barson ek kos aur mujhe aaj ki shab chalna hai aur is raat faqat apni hi sohbat mein agar jo bhi main bhog chuka hun use sahba ki tarah aakhiri kos ke is jam mein bhar kar aanand ek lamha bhi tawaqquf na karun hath mein lun aur ek ghunt main pi jaun to mera ye safar surkh-rui se mukammal ho mujhe sair kare aakhiri kos mujhe aaj hi tai karna hai