mera sansar

chalo na aaj tumhein ek kahani sunati hun
kahani ke sath kuchh aur bhi batati hun

pyar karne se ziyaada use nibhana sikhati hun
sath hi apni zindagi batati hun

man papa bahut khush the mere aane par
na jaane kyun phir dada dadi ka chehra nahin khila tha

jab mere haq mein papa ne unhen samjhaya
tabhi to mujhe mera hero mila tha

man ka dudh papa ka pyar
yahi to tha mera sansar

jab bhi chalne ki koshish karti
unhi ki ungli pakadti

dar lagne par phir unhi se ja chipakti
hansna bhi unhi se tha har bar

aur bas yahi tha mera sansar
thodi badi hui to school jaisa kuchh mila

mujh jaise bahut the wahan wahi kapde wahi jute
kuchh sachche kuchh jhuthe

unhin mein se kuchh bane dost yar
aur bada ho gaya mera sansar

yun hi main badhti gai
sapnon ki sidhiyan chadhti gai

hero mere super hero ban gae
baqi sab to phir zero lagne lag gae

man se bhi tha mera pyar
aur bas unhin donon se tha mera sansar

phir ek ghadi aisi aai sab chizen ho gai parai
unhin man bap ne to phir kar di meri purwai

ek raj-kumar aaya tha ghodi chadh
ummiden uchhalne lagin thi badh-chadh

ichchhaun ko mila tha ummidon ka samundar
nai zindagi ki khushi thi dil ke andar

piya sang nae ghar jaana tha
shadi to bas ek bahana tha

janmon ke liye milne wala piya ka pyar tha
banne wala ab wahi mera sansar tha

sasural tha ab mera naya ghar ghar jaisa nahin tha yahan kuchh par
man bap bhai nahin the idhar the to bas sas sasur dewar

pyar dular jo ghar pe milta tha wo ab gum tha
aisa laga mano shadi ka laddu bas ek bharam tha

piya ab pati ho gaya
apne kaam mein itna kho gaya

ke shadi ke pahle ka sab moh gaya
laga jaise dil kah gaya

ke ab to bas bachche ka intizar rah gaya
phir ek din wo intizar ruka

mujhe bhi nai zindagi ka pata laga
mujh se ziyaada wo khush hue aakhir ye un ka ansh tha

badhane wala un ka ye wansh tha
meri puchh hone lagi bar bar

badalne wala jo tha sab ka sansar
aa gai phir wo ek ghadi

pata laga wo bhi thi ek ladki
itna hi to pata tha bas

phir na jaane kyun nai the sab khush
wo puchh achanak tane ban gai

imli ki phali nim ki chhadi ban gai
koi chahta nahin tha mujh se phir ek main aaun

sab ki zid thi main garbh pat karaun
kyun aakhir kyun

phir ek ladki se chhinne wala us ka ghar bar tha
kya yahi mere sapno ka sansar tha

phir achanak ek hero laut aaya
sab ko manaya sab ko samjhaya

us ne pita hone ka farz nibhaya
ab wo man-bap sang khel karti karti hai

doston sang uchhla kuda karti hai
man se loriyan roz sunti hai

aaj kahani sunne lagi hain
lage us ke sang sari duniya jagi hai

sunti hai kahani ye raat ki rani
aur sochti hai

jaane kis din wo suraj niklega
jaane kis din ye aasman khilega

jab insan se insan ka hoga sachcha mel
jab tutenge sab moh ke dhage

aur band hoga insani duniya mein ye kath-putli ka khel
jab mar ki jagah lega pyar

aur sudharega mere sapnon ka sansar
aur sudharega mere sapnon ka sansar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close