main ab tak ye samajhti thi kahani ka na dil hai aur na goyai saliqa hi nahin inkar ka is ko hamesha likhne wale ki raza par chhod deti hai wajud apna kabhi munh se nahin kahti ki mujh ko is taraf modo jidhar main chahti hun aur yahan tak ki kai kirdar mar jate hain phir bhi aankh se is ki kabhi aansu nahin girte kahani kitni sabir hai kabhi aaghaz hi milta nahin is ko kabhi anjam se mahrum rahti hai kabhi aisa bhi hota hai ki afsane ka khaliq apne afsane mein is ko panw bhi dharne nahin deta to ye khamoshi si ek karb ki chadar mein apna munh chhupae laut jati hai koi shikwa nahin karti magar kal shab main jab tanhai mein baithi kahani likh rahi thi to mujhe aisa laga jaise waraq par ek aansu hai jo main ne ghaur se dekha jahan aurat likha main ne wahin wo ashk tapka tha