kabhi jo ruh pe hoti hai be-hisi tari dimagh kaif se hota hai yak-qalam aari pukarta hai jahan-e-fareb-kar mujhe saman-kada nazar aata hai kharzar mujhe main phul chhod ke kante pasand karta hun khazaf utha ke tijori mein band karta hun buland-baal jo hota nahin hai murgh-e-khayal qawa-e-fikr pe chhata hai mere izmehlal kabhi jo chehra-e-ummid zard hota hai kabhi jo shola mere dil ka zard hota hai khudi o khud-nigari mujh pe chhai jati hai durusht-khui mere dil mein rah pati hai mizaj-e-ishq mein hoti hai jab nami paida dil o dimagh mein hoti hai barhami paida to mera saqi mujhe hans ke narm karta hai nazar mila ke mere dil ko garm karta hai