yas morid-e-zulm hun aamaj-gah-e-tir hun main takhta-e-mashq-e-sitam qaidi-e-zanjir hun main saikdon dushman-e-saffak lage hain pichhe kitne hi nawak-e-bedad ka nakhchir hun main shaukat-e-rafta ki takhil bhi ab mushkil hai mahfil-e-dosh ki mitti hui taswir hun main kis qadar apni tabahi pe karun nauha-zani mukhtasar ye hai ki phuti hui taqdir hun main ham-nashin sail-e-hawadis mein baha jata hun sarhad-e-maut se nazdik hua jata hun ummid hai ghalat nauha-e-gham-gauhar shahwar hai tu fil-haqiqat badi izzat ka saza-war hai tu maujzan hai teri rag rag mein shahidon ka lahu badr o ahzab ki jangon ka alam-dar hai tu jurat-e-khalid-e-jaan-baz mili hai tujh ko waris-e-zor-e-shah-e-haidar-e-karrar hai tu kaun kahta hai tujhe jins dani hech-mabarz tu bahut kuchh hai agar muslim-e-bedar hai tu tu agar chahe nikal sakti hai sahra mein bhi rah sai-e-paiham ke liye koh-e-giran ek par-e-kah kaun kahta hai ki saman se wabasta hai teri izzat tere iman se wabasta hai sab se awwal tujhe lazim hai khuda ki pahchan aadmiyat isi irfan se wabasta hai khud gira padta hai lazim hai khuda ki pahchan teri waqat bhi teri aan se wabasta hai is se kat jae to kaudi bhi nahin mol tera qadr o qimat teri quran se wabasta hai tu hai shaki ki zamana ne tujhe khoya hai aur zamane ko shikayat hai ki tu soya hai