mera watan

gautam hue ki nanak kaki hue ki chishti
loadi hue ki tughlaq sayyad hue ki khilji

aa aa ke jis mein un ki milti gai hai mitti
na-ittifaqiyon ne jis par girai bijli

mera watan wahi hai mera watan wahi hai
unche pahad jis ke the raston ko roke

dushman ko jis ke dariya late the par dubo ke
ilm-o-hunar ki daulat jis ne lutai so ke

bachche gada hain jis ke sab apna mal kho ke
mera watan wahi hai mera watan wahi hai

daulat ka jis ki aalam mein chaar su tha charcha
jis ke jawahron ne tajon ko nur bakhsha

ghairon ka jis zamin ki kheti ne pet pala
adbar ne palat di aa kar jahan ki kaya

mera watan wahi hai mera watan wahi hai
barish ki tarah jis mein padti thi khair-o-barkat

milti thi jis zamin mein rozi bila mashaqqat
sare jahan ne ja kar jis ki udai daulat

jis ja bar aai apni bad-kariyon ki nikhat
mera watan wahi hai mera watan wahi hai

bahta tha jis zamin mein ilm-o-hunar ka dariya
qaumon ne bari bari chhapa hai jis pe mara

baam-e-falak pe chadh kar dekha hai jis ne nicha
jaur-e-falak ne jis ja ulti bahai ganga

mera watan wahi hai mera watan wahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close