wo sitare jin ki khatir kai be-qarar sadiyan meri tira-bakht duniya mein sitara-war jagin kabhi rifaton pe lapkin kabhi wusaton se uljhin kabhi sogwar soen kabhi naghma-bar jagin wo buland-baam tare wo falak-maqam tare wo nishan de ke apna rahe be-nishan hamesha wo hasin wo nur-zade wo khala ke shahzade jo hamari qismaton par rahe hukmaran hamesha jinhen muzmahil dilon ne abadi panah jaana thake-haare qafilon ne jinhen khizr-e-rah jaana jinhen kam-sinon ne chaha ki lapak ke pyar kar len jinhen mahwashon ne manga ki gale ka haar kar len jinhen aashiqon ne chaha ki falak se tod laen kisi rah mein bichhaen kisi sej par sajaen jinhen but-garon ne chaha ki sanam bana ke pujen ye jo dur ke hasin hain unhen pas la ke pujen jinhen mutribon ne chaha ki sadaon mein piro len jinhen shairon ne chaha ki khayal mein samo len ho hazar koshishon par bhi shumar mein na aae kabhi khak-e-be-bizaat ke dayar mein na aae jo hamari dastaras se rahe dur dur ab tak hamein dekhte rahe hain jo ba-sad ghurur ab tak mere ahd ke hasino wo nazar-nawaz tare mera daur-e-ishq-parwar tumhein nazr de raha hai wo junun jo aab-o-atish ko asir kar chuka tha wo khala ki wusaton se bhi khiraj le raha hai mere sath rahne walo mere baad aane walo mere daur ka ye tohfa tumhein sazgar aae kabhi tum khala se guzro kisi sim-tan ki khatir kabhi tum ko dil mein rakh kar koi gul-azar aae