kisi sae ka naqsh gahra nahin hai har ek saya ek aankh hai jis mein ishrat-kadon na-rasa khwahishon an-kahi dil-nashin dastanon ka mela laga hai magar aankh ka sehr palkon ki chilman ki halki si jumbish hai aur kuchh nahin hai kisi aankh ka sehr daim nahin hai har ek saya chalti hawa ka pur-asrar jhonka hai jo dur ki baat se dil ko bechain kar ke chala jaega har koi jaanta hai hawaon ki baaten kabhi der tak rahne wali nahin hain kisi aankh ka sehr daim nahin hai kisi sae ka naqsh gahra nahin hai